1300 Saal Umar Ka Baad-shah. Hazrate Daniyal Story••

 ••Assalamu Alaikum Mere pyare Dosto !  Is Post ke under Aap jaan ne wale Hain. Islam Ka ek Pyar Waqiya Jis mein 1300 Saal ki Umar Ka Baad-shah Ka Waqiya Hai. Aap se apeel hai ke Post ko Pura padhe Aur Like Comment Share Bhi kare. 





1300 Saal ki Umar Ka Baad-shah. 

12 Hazar Shadiya Kisne Ki Hai? 

Hazrat-e-Daniyaal Alaihis Salam Ek Din Jangal Taraf Gaye Wahan Par Aap ko Ek Gunbad Nazar Aayaa Aur Gunbad Ke Andra Se Aawaz Aayi Ki Ai Daniyal ! Idhar Aao. Daniyal Alaihis Salam Us Gunbad Ke Pass Gaye To Maloom Huwa Ki Kisi Maqbaraa Ka Gunbad Hai. Jab Aap Maqbaraa Ke Andar Tashrif Legaye To Dekha ki Ek Achhi Aalishan Imaarat Hai Aur Uske Bich Aalishan Takht Bichha Huwa Hai Us Par Ek Badi Laash Padi Hai Issue Aawaz Aayi Ki Daniyal Takht Ke Upar Aao. Aap Upar Tashrif Legaye To Ek Badi Lambi Chaudi Talwaar Murda Ke Bagal Mein Nazar Aayi. Us Talwaar ke Upar Ye Ibaarat (Text) Likha Huwi Nazar Aayi Ki Main Qaum-e-Aad Ka Ek Baad-shah Hu. khudaa Ne 1300 Saal Ki Umar Ataa Farmayi. 12000 Shadiya Ki. 8000 Bete Huwe Aur Mere Pass Laa-Tadaad Khazane The. Itni Zyada Daulat Hone Ke Baa-wajood Bhi Main Ne Aalah Ka Shukriya Aada Nahi Kiya Balke Ulta Allah Ki Na-Farmani Karne Laga. Aur Logo Ke Saamne Khuda Hone Ka Daawa Kiya. Khuda Me Meri Hidayat keliye Ek Paighambar [Rasool] Bhejaa.


Har Tariqe se Unhone Mujhe Samjhaya Magar Main Ne Kuchh Bhi Nahi Suna. Aakhir Kaar Wo Paighambar Mujhe Bad-Duwa De Kar Chale Gaye 


  Allah Talaa Ne Meri Qaum Aur Mulk Par Qahat-Sali Musallat Kar Diya. Tab Se Mere Mulk Mein Kisi Cheez Ki Bhi Paidawar Na Hone Lagi,  Tab Dusre Mulk Mein Hukm Bhejaa Ki Har Ek Qism Ka Ghalla Anaaj  Phal Fruits Mere Mulk Mein Bhejaa Jaaye.  Mere Hukm Ke Mutabiq Har Qism Ke Ghalla Mewaa mere Mulk Mein Aane Lagaa. Jis Waqt Wo Ghalla Mewaa Mere Shahar Ki Sar-Had Mein Dakhil [Entry] Hota Fauran Mitti Mein Badal Jaati  Aur Wo Saari Mehnat Bekaar Chali Jaati Thi. Aur Koi Danaa  Mujhe Nasib Na Hota.



 Isi Tarah 7 Din Guzar Gaye. Mere Qila Se Sab Biwiyan Bach-che Bhag Gaye. Main tanha Qila mein rah Gaya. Mere paas khane ke liye koi Ghizaa Na thi. Ek Din Nihayat Majbur Hokar Darwaje ke pass Khada Hua. Itne mein ek shaks Kuchh khata hua ja raha tha Main Ne usse Kaha motiyon se bhara Hua Ek bartan Anaaj le lo aur uske badle mein mujhe kuch khane ko de do. Lekin usne Nahin suna. aur jaldi se Sare  Anaaj kha Kar Mere samne Se Chala Gaya. Aakhirkar bhookh Ki Wajah Se Main Mar Gayaa. Ye Meri Guzro Hui Kahani Hai Jo Shakhs Mera Haal Sune Wo Kabhi Duniya Ke Qarib Nahi Aayega.

[SIRATUS-SALIHIN]

NOTE :- 

  • Khuda se har Qism ki nimat pakar Nashukri Karna Intihayi Be-waqoofi Hai. Allah Ki Na-Farmani Karne se Tarah Tarah ki musibat balain Aati Hain. Aur Ye bhi pata Chala ki Insaan Ko Zyada Lambi Umar kyon Na mil jaaye usko Ek na Ek Din maut Zaroor hai.



2 Comments

Don't comment any other bad words !

Previous Post Next Post