••Assalamu Alaikum Mere pyare Dosto ! Is Post ke under Aap jaan ne wale Hain. Islam Ka ek Pyar Waqiya Jis mein 1300 Saal ki Umar Ka Baad-shah Ka Waqiya Hai. Aap se apeel hai ke Post ko Pura padhe Aur Like Comment Share Bhi kare.
1300 Saal ki Umar Ka Baad-shah.
Har Tariqe se Unhone Mujhe Samjhaya Magar Main Ne Kuchh Bhi Nahi Suna. Aakhir Kaar Wo Paighambar Mujhe Bad-Duwa De Kar Chale Gaye
Allah Talaa Ne Meri Qaum Aur Mulk Par Qahat-Sali Musallat Kar Diya. Tab Se Mere Mulk Mein Kisi Cheez Ki Bhi Paidawar Na Hone Lagi, Tab Dusre Mulk Mein Hukm Bhejaa Ki Har Ek Qism Ka Ghalla Anaaj Phal Fruits Mere Mulk Mein Bhejaa Jaaye. Mere Hukm Ke Mutabiq Har Qism Ke Ghalla Mewaa mere Mulk Mein Aane Lagaa. Jis Waqt Wo Ghalla Mewaa Mere Shahar Ki Sar-Had Mein Dakhil [Entry] Hota Fauran Mitti Mein Badal Jaati Aur Wo Saari Mehnat Bekaar Chali Jaati Thi. Aur Koi Danaa Mujhe Nasib Na Hota.
Isi Tarah 7 Din Guzar Gaye. Mere Qila Se Sab Biwiyan Bach-che Bhag Gaye. Main tanha Qila mein rah Gaya. Mere paas khane ke liye koi Ghizaa Na thi. Ek Din Nihayat Majbur Hokar Darwaje ke pass Khada Hua. Itne mein ek shaks Kuchh khata hua ja raha tha Main Ne usse Kaha motiyon se bhara Hua Ek bartan Anaaj le lo aur uske badle mein mujhe kuch khane ko de do. Lekin usne Nahin suna. aur jaldi se Sare Anaaj kha Kar Mere samne Se Chala Gaya. Aakhirkar bhookh Ki Wajah Se Main Mar Gayaa. Ye Meri Guzro Hui Kahani Hai Jo Shakhs Mera Haal Sune Wo Kabhi Duniya Ke Qarib Nahi Aayega.
[SIRATUS-SALIHIN]
NOTE :-
- Khuda se har Qism ki nimat pakar Nashukri Karna Intihayi Be-waqoofi Hai. Allah Ki Na-Farmani Karne se Tarah Tarah ki musibat balain Aati Hain. Aur Ye bhi pata Chala ki Insaan Ko Zyada Lambi Umar kyon Na mil jaaye usko Ek na Ek Din maut Zaroor hai.
sübhan all
ReplyDeletemasa Allah
ReplyDelete